Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini toh bas badal samajhta hai
***
Main tujhse door kaisa hu,tu mujhse door kaisi hai
Yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai
Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani hai
Kabhi Kabira deewana tha,kabhi Meera deewani thi
Yaha sab log kehte hai, meri aankhon mein aansun hai
Jo tu samjhe toh moti hai,jo na samjhe toh paani hai
Samundar peer ka hai andar lekin ro nahi sakta
Yeh aansun pyar ka moti hai,isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle
Jo mera ho nahi paaya, who tera ho nahi sakta
***
4 comments:
Though I have attended a lot of "Kavi Sandhyas", solely coz of my friends. Hindi poetry doesn't touch me, maybe beacause the words used are too "HINDI" ...
But this poem was a "eye-moistener"...
The tone in which this lines are spoken reach you deep...
This is the shorter version you have posted.
This is the full version of the poem by Dr. Kumar Vishwas
Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus badal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai
Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai
samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta
Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama
Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai,
bhari mehfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai saari duniya ko khafa hai mujhse wo lekin,
mujhe malooom hai fir bhi mujhi se pyar karta hai.
nice!
Post a Comment